☆☆☆ Aurton ko chahiye ki takbeere tehreema ke waqt mardon ki tarah kaano tak haath na uthayen balki kandhon tak hi haath uthakar baayi hatheli seene par rakhkar iski peeth par Daahini hatheli rakhen.Ruk'u mein zyada na jhuken balki thoda jhuken yaani sirf iss qadar ki haath ghutno tak pahunch jayen .Isi tarah aurten ruku'u mein peeth seedhee na karen aur ghutno par zor na den balki mahaz ghutno par haath rakh den aur haath ki ungliyan leti hui rakhen aur paaoon(leg) kuch jhuka huwa rakehn.mardon ki tarah khub seedha na kar den.Aurton ko bilkul samet kar sajda karna chahiye yaani baazuon ko karwaton se mila den aur pait ko raan se aur raan ko pindaliyon se aur pindaliyon ko zameen se mila den.
Aur qa'ada mein Attahiyaat parhte waqt aurten baayen qadam par na baithen dono paaon daahini jaanib se nikaal den aur baayin sureen (puththa) par baithen.Mardon ki tarah na baithen...
☆☆☆ Aurten bhi khadi hokar namaz padhen bahut si jahil aurten farz aur wajib aur sunnat wa nafl saari baithkar parhti hain ye bilkul ghalat tareeqa hai.Nafl ke siwa koi bhi namaz bila ujr baithkar parhna jaiz nahi.yeh jaahil aurten farz wa wajib jitni namazen baghair uzr baithkar parh chuki hon un sabki qaza karen aur taubaa karen...
Masla...
Aurat mardon ki imamat kare yeh najaiz hai.
● Harghiz aurten mardon ki imaam nahi ban sakti aur sirf aurton ki jamaat(ki aurat hi imaam ho aur aurat hi muktadi ho) yeh makroohe tehreemi aur najaiz hai.
Masla:-
● Aurton par jumu'ah aur eidain ki namaz wajib nahi.
● Panch (5) waqt namazon ke liye aurton ka masjid mein jana man'aa hai.

Comments
Post a Comment