Skip to main content

Short name likhna haram hai.

SHORT NAME LIKHNA HARAM HAI....

(S.A.W.) Likhana Sakht Najaiz O Haram He......

📌(Radi.- R.A.) Likhna Mana He...

Please Gor Kare....

🔆Kitab :

📚[Bahar E Shriyat /Jild : 3/

Safa : 534]

✅Masla 117 :

Aksar Log Aaj Kal Durood sharif Ke Badle 'Sal'Am,

Sal.,'

Likhte He Ye Najiz V Sakht Haram He.

Un Hi Radi'ALLAHU Tala Anhu Ki Jagah Radi.

Rahemtullah Ta'La Alyhi,

Likhte He Ye Bhi Na Chahiye,

Jin Ke Naam Mohammad,

Ahemad,

Ali Hasan,

Hussain Vagairah Hote He In Namo Par S.(Aadha Su'Aad) Banate He Yeh Bhi MamNu He,

Ke Is Jagah To Yeh Shakhs Murad He Is Par Durood Ka Ishara Kya Maani.

::: Ba Hawala :::

📚(Fatawa E Tahtavi, Al Durr E Mukhtar, Khutba Kitab, Jild-1 \, Shafa-6)

📚(Fatawa E Razviya, Jild 23,)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🔹Imaam Nauwwi Alyhirrhmah KITAB-UL-AZKAR Me Farmate he,

" Durood Sharif Aur Radi'ALLAHU Ta'la Anhu Aur

Rahemtullah Alyh Ki Jagah Ishara Maslan

⏩(Sal. Radi. Ya Rh.)

Makruh He,

Balke Pure Durood Sharif Radi'ALLAHU Ta'la Anhu Or

Rahemtullah Alyh Likhe Aur Pure Likhne se Na Uktaye Varna

Sawab Se Maheroom Hoga."

➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Rasool Allah sallallaho laihi wa sallam k Naam-e-Nami Ism-e-Girami “MUHAMMAD” ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k aage bajaye Darood Sharif k sirf

⏩(SAW)

likhna ya Alaihis salam ki jaga

⏩(A.S)

🎯Likhna sakht mahroomi aur aala darje ki kam Naseebi hai.

🎯Imam Jalaluddin suyyoti alaihir rahma’h ne farmaya k jis ne sab se pahle Darod sharif ka aisa Ikhtesar kiya us ka Hath kata gaya,

🎯Imam tahtawi ne Hashiy-e- Durre Mukhtar me ise Kufr tak farmaya aur Waqai agar janbujh kar istikhfaf Shan (halkapan) ho to kufr hai. Yunhi Sahaba’h aur Buzurgan-e-Deenk namo’n k sath bajaye Radi'ALLAHU anho, Ya rahmatulla h alahi Ki Jagah khali (RA,RH) likhna bhi mana hai.

📚(Fatawa E Amjadiya)

📗(Fatawa E Faiz E Rasool)

Comments

Popular posts from this blog

Dua E Aashura

Dua  e  Ashoora  ki kiya fazeelat hai??? Speaker :- Allamah Sayyid Shah Turabul Haq Qadiri (Alayhir Rahmah) Shab-e-ashura ki nafal namaz ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ Ashura ki raat mai 4 raka'at namaz nafal is tarkeeb se pdhen ki har raka'at mai Al-hamd ke baad aaytal kurshi ek baar aur surah-e-ikhlaas teen baar pdhe aur namaz se faarigh ho kar ek sau(100) martaba surah-e-ikhlaas pdhen ان شاء الله عزوجل gunaahon se paak hoga aur wihist mein benteha nematen milengi. 【Jannati Zevar page 157】 ◆◆◆ 10 muharram ko Dua e Ashura parhne se umar mein khairo barkat aur zindagi mein falah wa nematen nazil hoti hain. ان شاء الله عزوجل 【 Jannati zevar 159】 ◆◆◆ Mufassire shaheer hakimul ummat hazrte mufti Ahmad yaar khan عليحررحمةالحنان farmate hain Muharram ki 9 aur 10 ko roza rakho to bahut sawab payega...Baal bachchon ke liye 10 muharram ko khub achche khaane pakaye to ان شاء الله عزوجل  saal bhar tak ghar mein barkat rhegi. Behtar hai ki khichda pakakar Hazrat ...

Rabi'ul Awwal Ki 12 Tareekh Wiladat Ya Wafat.??

Sarwar e konain صلی اللہ علیہ وسلم ki tareekh e wiladat o wisal k mutallikh Aala hazrat fazil e barelvi rahmatullah alaih ki tahqeekh. ● Jashn e eid milad un nabi صلی اللہ علیہ وسلم k moqe par aik giroh wahabi+deobandi hasb e aadat aur hasb e mamool huzoor akram shaafe roze jaza, syed'ul mursaleen khatimul ambiya صلی اللہ علیہ وسلم ki tareekh e wiladat o tareekh e wisal se mutallikh jhut bolne aur likhne k 7-7 aik kaam ye bhi kiya k is jhut ko imam Ahle sunnat Aala Hazrat Azeem ul barkat mujaddid deen o Millat parwana shama risalat shah Ahmad Raza Khan fazil e barelvi rahmatullah alaih ki taraf mansoob karte hoye pumfilt's aur isticker's nikale aur F-b par posting kiye aur is jhut me taraqkhi karte hoye ye tassur diya k ye munjanib "anjuman faizan e Raza" hai, woh jhut kiya tha.?? Woh jhut qara'een kiram ki khidmat me naqal karta hon. Paidaish e nabi sallellahu alaihi wasallam 8 rabi ul awwal hai aur wafat e nabi sallellahu alaihi wasallam 12 rabi ...

Ahmed Raza Ko Aala Hazrat Kisne Laqaab Diya.

Jab Koi Aala Hazrat Kehta Hai To Fauran Hamara Zahen Us Bareliy Wale Ki Taraf Jata Hai Jisko Ham Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi Ke Naam Se Jante Hain. Kyu Na Kahe Us Aashiqe Rasool(Sal-lal-laahu Ta'ala Alayhi Wasallam) Ko Aala Hazrat Jis Ne Apni Puri Zindagi Apne Rasool (Sal-lal-laahu Ta'ala Alayhi Wasallam) Ki Muhabbat Me Guzari Lekin Aaj Kuch Log Aala Hazrat Kehne Par Aitraz Karte Hain. Me Un Logon Ko Bata Dena Chahta Ho Ke, jo aala hazrat KO bura samagte h.. Ahmed Raza Ko Aala Hazrat Laqab Mila Hai Wo Kisne Diya He. Dekhiye Aur Apni Islah Farmaye. Ek Martaba Fazile Barelvi Huzur Waris E Paak Ki Khidmat Me Hazir Huye The. Wahan Par Bahut Sare Log Maujood The. Jisme Ulama Bhi The. In Logon Ke Sath Imam Ahmed Raza Fazile Barelvi Bhi Baith Gaye. Imam Ahmed Raza Ko Waris E Paak Ne Dekh Liya . Imam Ahmed Raza Ko Mukhatib Karke Waris E Paak Ne Irshaad Farmaya Ke Aap Us Jagah Nahi Balke Is Takht Par Baithiye. Kyun Ke Yeh Sab Log Hazrat Hain Aur Aap Aala Hazr...