Ye islami saal ka 3ra mahina hai.Is mahine mein Hamre pyaare aaqa Allah ke habeeb صلی اللہ تعالی علیہ وآلہ وسلم Ki wiladat hui.ye bht hi mubarak mahina hai. Isey rabi un noor bhi kaha jata hai. ● Maahe rabi un noor shareef to kya aata hai har taraf mausime bahar aa jata hai. mustafa صلى الله عليه وسلم ke deewano me khushi ki lahar daud jaati hai.Boodha ho ya jawan har haqiqi musalmaan goya dil ki zabaan se bole uthta hai... Nisaar teri chahal pahal par hazar eiden rabiul awwal siwaye iblees ke jahan mein sabhi to khushiyan mana rahe hain ● Jab kaayenaat mein kufro shirk aur wahshato baar barriyyat ka ghup andhera chaya hua tha.12 rabiun noor shareef ko makka e mukarrama mein hazrat saayyi-dtuna aamina رضى الله تعالى عنھا ke makane rahmat nishaan mein ek aisa noor chamka jis ne sare aalam ko jagmag jagmag kar diya. Sisakti hui insaniyat ki aankh jin ki taraf lagi hui thi woh taajdaare risalat,shahanshae nubuwwat,mohsine insaaniyat صل...