●●●Khaana khaane se pehle aur baad mein dono haath gatton tak dhoyen.sirf ek haath ya faqat ungliyan hi na dhoyen issey sunnat adaa na hogi lekin iss ka dhyaan rahe ki khaane se pehle haath dhokar pochna na chahiye aur khaane ke baad haath dhokar tauliya ya rumaal se ponch lena chahiye taaki khaane ka asar baaqi na rahe.
●Bismillah parhkar khaana shuru karen aur buland awaz se padhen taaki dusre logon ko bhi yaad aa jaye aur sab Bismillah parh len
●Roti ke upar koi cheez na rakhi jaye aur haath ko roti se naa ponchen.
●Khaana hamesha daahine haath(right hand) se khaayen.Baayen haath(left hand) se khaana peena shaitaan ka kaam hai.
●●●Khaana khaate waqt baayan paaon bicha de aur daahina paaon khada rkhe ya sureen(puththa) par baithen aur dono ghutne khade rakhen.Aur agar bhaari badan ya kamzor hone ki wajah se iss tarah na baith saken to paalti maarkar khaane mein bhi koi haraz nahi.
●Khaana khaane ke darmiyaan kuch bhi baaten karta rahe bilkul chup rehna ye majusiyon kaa tareeqa hai magar behuda ya foohad baayen na karen balki achchi baaten karta rahe.
● Khaane ke baad ungliyon ko chaat le aur bartan ko ungliyon se ponch kar chaat le.
● Khaane ki ibtida namak se kare aur namak par hi khatam kare ki isme bahut si bimariyon se shifa hai.
●Paaon failakar,letkar ya chalte phirte kuch khaana khilaafe adab aur tareeqa e sunnat ke khilaaf hai.
● Khaana khaa lene ke baad dastarkhwan par sahibe khaana aur haazireen ke liye khairo barkat ki dua maangna sunnat hai.
● Chaandi sone ke bartan mein khaana jaayaz nahi..balki inn cheezon ka kisi tarah se istemaal karna durust nhi.
● Haath se lukma gir jaye to isko uthakar khaa lo.
●Bahut zyada garam khaana mat khaayo.na khaane ko sungho na khaane par phoonk maar maar kar isko thanda karo ki yeh sab baaten khilaafe adab bhi hain aur muzir bhi.
[Bhare shariat,Anware shariat,jannati zevar]

Comments
Post a Comment