Skip to main content

Haiz aur Nifaas ke sawal jawab

Sawal---Haiz aur nifaas kise kehte hain?

Jawab----Baligha aurat k aagey ke maqam se jo jo khoon aadi taur par nikalta hai aur bimari yaa bachcha paida hone ke sawab  se na ho to usey haiz kehte hain.Uski muddat kam se kam 3 din aur zyada se zyada 10 din hai.
Issey kam ya zyada ho to bimari yaani istihaza hai aur bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai usey nifaas kehte hain. Nifaas mein kami Ki jaanib koi waqt muqarrar nahi.aur zyada se zyada uska zamana 40 din hai 40 din ke baad jo khoon aaye wo  istihaaza hai.

Sawal----Haiz wa nifaas ka kya hukum hai??

Jawab---Haiz wa nifaas ki haalat mein roza rakhna aur namaz padhna Haram hai.Un dino mein namazen muaaf hain.unki qaza bhi nahi magar rozon ki qaza aur dino mein rakhna farz hai.
Aur haiz wa nifaas wali aurat ko qur'an majeed padhna haram hai.
Khwah dekhkar padhe ya zubaani.aur uska choona agarche uski jild ya haashiya ko haath ya ungli se ki nok ya badan ka  koi hissa lage sab haram hai.
Haan juzdaan mein Qur'an majeed hai to uss juzdaan ke choone mein koi haraz nahi.

Sawal----Jise ahtilaam hua aur aise mard wa aurat ki jis par ghusl farz hai unke liye kya hukum hai??

Jawab----Aise logon ko ghusl kiye waghair namaz padhna ,Qur'an majeed dekhkar ya zubaani padhna uska chhona aur masjid mein jaana haram hain.


Sawal-----Kya jis par ghusl farz hai  wo masjid mein nhi jaa sakta?

Jawab----jis par ghusl farz hai  wo masjid ke uss hisse mein  jaana haram hai ki jo daakhil e masjid hai yaani namaz Ke liye banaya gaya hai aur woh hissa jo ki fana e masjid hai yaani istinja khaana,ghusl khaana aur wuzugaah wagahirah to uss jagah jaane mein koi harz nahi par unme jaane ka raasta daakhil e masjid se hokar na guzarta ho.

Sawal--'-Aise mard wa aurat ki jin par ghusl farz hai wo qur'an ki taleem de sakte hain ya nahi??

Jawab-----Aise loge ek ek kalimah saans tod todkar padha sakte hain aur hijje karane mein koi haraz nahi.


(Anware shariat)

Comments

Popular posts from this blog

Dua E Aashura

Dua  e  Ashoora  ki kiya fazeelat hai??? Speaker :- Allamah Sayyid Shah Turabul Haq Qadiri (Alayhir Rahmah) Shab-e-ashura ki nafal namaz ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ Ashura ki raat mai 4 raka'at namaz nafal is tarkeeb se pdhen ki har raka'at mai Al-hamd ke baad aaytal kurshi ek baar aur surah-e-ikhlaas teen baar pdhe aur namaz se faarigh ho kar ek sau(100) martaba surah-e-ikhlaas pdhen ان شاء الله عزوجل gunaahon se paak hoga aur wihist mein benteha nematen milengi. 【Jannati Zevar page 157】 ◆◆◆ 10 muharram ko Dua e Ashura parhne se umar mein khairo barkat aur zindagi mein falah wa nematen nazil hoti hain. ان شاء الله عزوجل 【 Jannati zevar 159】 ◆◆◆ Mufassire shaheer hakimul ummat hazrte mufti Ahmad yaar khan عليحررحمةالحنان farmate hain Muharram ki 9 aur 10 ko roza rakho to bahut sawab payega...Baal bachchon ke liye 10 muharram ko khub achche khaane pakaye to ان شاء الله عزوجل  saal bhar tak ghar mein barkat rhegi. Behtar hai ki khichda pakakar Hazrat ...

Rabi'ul Awwal Ki 12 Tareekh Wiladat Ya Wafat.??

Sarwar e konain صلی اللہ علیہ وسلم ki tareekh e wiladat o wisal k mutallikh Aala hazrat fazil e barelvi rahmatullah alaih ki tahqeekh. ● Jashn e eid milad un nabi صلی اللہ علیہ وسلم k moqe par aik giroh wahabi+deobandi hasb e aadat aur hasb e mamool huzoor akram shaafe roze jaza, syed'ul mursaleen khatimul ambiya صلی اللہ علیہ وسلم ki tareekh e wiladat o tareekh e wisal se mutallikh jhut bolne aur likhne k 7-7 aik kaam ye bhi kiya k is jhut ko imam Ahle sunnat Aala Hazrat Azeem ul barkat mujaddid deen o Millat parwana shama risalat shah Ahmad Raza Khan fazil e barelvi rahmatullah alaih ki taraf mansoob karte hoye pumfilt's aur isticker's nikale aur F-b par posting kiye aur is jhut me taraqkhi karte hoye ye tassur diya k ye munjanib "anjuman faizan e Raza" hai, woh jhut kiya tha.?? Woh jhut qara'een kiram ki khidmat me naqal karta hon. Paidaish e nabi sallellahu alaihi wasallam 8 rabi ul awwal hai aur wafat e nabi sallellahu alaihi wasallam 12 rabi ...

Safar Al-Muzaffar

Safar Al-Muzaffar 2nd islamic month hai ●Maahe safar ko loge manhoos jaante hain ismein shaadi biyaah nahi karte,ladkiyon ko rukhsat nahi karte,aur bhi is qism ke kaam karne se parhez karte hain.Khass taur se maah safar Al muzaffar ki ibtidaai 13 taarekhen zyada nahas maani jati hain aur innko terahtezi kehte hain ye sab Jahalat ki baaten hain. ●  Hadess mein farmaya ke safar koi cheez nahi yaani logon ka isey manhoos samajhna ghalat hai. ● Maahe safar ka aakhri chaar shunba hindustaan mein bahut  manaya jata hai.Loge apne kaarobaar band kar dete hain,sair o tafreeh aur shikaar ko jaatey hain.pooriyan pakti hain aur nahate dhote hain khushiyan manate hai aur kehte hain ki Huzur aqdas Sallallahu ta'ala Alyhi Wasallam ne iss roze ghusl sehat farmaya tha aur bairun madeena tayyiba sair ke liye tashreef le gye they.Ye sab baatein be asal hain balki inn dino mein Huzur akram Sallallahu ta'ala Alyhi wasallam ka marz shiddat ke saath tha wo baatein khilaaf waaq'e ...