Faraiz e Namaaz -
saañt (7) cheezein namaaz mein farz hai.
1-Takbeer e Tehreema (namaaz shuru karne ke liye takbeer kehte hai usey takbeere e tehreema kehte hai)
2-Qiyaam(namaaz mein khade hone ki haalat ko qiyaam kehte hai)
3-Qiraat
4-Ruku
5-Sajda
6-Qa'ada akheera (namaaz mein baithne ki haalat ko qa'ada kehte hai woh do hote hai ek qa'ada e ula doosra qa'ada e akheera jiss qa'ad ke baad salaam pherna ho ussey qa'ada e akhira aur jiske baad salaam nahi pherna ho usey qa'ada e ula kehte hai. 7-Khurooj bisuna'ehi (yaani apne iraade se namaaz khatm karna)
1-Takbeer e Tehreema -haqeeqatan yeh sharait e namaaz se hai magar chuki afaale namaaz se isko bohet zyada nazdeeki haasil hai yaani takbeere tehreema namaaz se bohat kareeb aur bilkul mili huwi hai iss wajeh se faraiz e namaaz mein iska shumaar huwa.
Masla - muqtadi ne lafz e Allah imaam ke saath kaha magar akbar ko imaam se pehle khatm kar chuka namaaz na huwi.
2-Qiyaam - kami ki janib iski hadd yeh hai ki haath phailaaye toh ghutnoo tak na pahuche aur pura qiyaam yeh hai ki seedha khada ho.
Masla - farz wa witr wa eidain wa sunnate fajr mein qiyaam farz hai ki bila sahih uzr ke baith kar yeh namazein padhega na hogi.
●●●Tambeeh e zaroori - aaj kal amooman yeh baat dekhi jaati hai ki jahañ zara bukhaar aya ya khafeef si takleef huwi baith kar namaaz shuru kar di halaanki wahi log usi halat mein dus dus minute balki zyada khade ho kar idhar udhar ki baatein kar liya karte hai unko chahiye ki inn masaail se aagaah ho aur jitni namazein bawajood e qudrat e qiyaam baith kar padhi ho unko lautana farz hai yuñhi agar waise khada na ho sakta tha magar laathi ya deewar ya aadmi ke sahaare se khada hona mumkin tha toh woh namazein bhi na huwi unka pherna farz hai Allah Ta'ala taufeeq ata farmaye.
3-Qiraat - Qiraat iska naam hai ki tamaam huroof makharij se adaa kiye jaaye ki har harf ghaur se sahi taur par mumtaz ho jaaye matlab yeh hai ki har harf ko unke sahi makharij se padhe aur ahista padhne mein bhi itna hona zaroori hai ki khud sune agar huroof ko tasheeh toh ki magar iss qadr ahista ki khud na suna aur koi baat aisi bhi nahi jo sunne mein rukawat hoti maslan shor gul toh namaaz na hogi.
4-Ruku-Itna jhukna ki haath badhaye toh ghutnon ko pahuch jaaye yeh ruku ka adna darja hai aur pura yeh ki peeth seedhi bicha do.
5-Sujood - Hadees Shareef mein hai sabse zyada qurb bande ko khuda se uss halat mein hai ki sajda mein ho lihaaza dua zyada karo. peshaani ka zameen par jamna sajde ki haqeeqat hai aur pau ki ek ungli ka pet lagna shart toh agar kisi ne iss tarah sajda kiya ki dono pau zameen se uth rahe namaaz na huwi balki agar sirf ungli ki noke zameen se lagi jabh bhi na huwi iss masle se bohet log ghafil hai har rakaat mein do sajde farz hai kisi narm cheez maslan ghaas rooee ghalin wagaira par sajda kiya toh agar peshaani jam gayi yaani itni dabi ki abh dabaane se na dabe toh jayez hai warna nahi.
6-Qada e Skhira - Namaaz ki rakat poori karne ke baad itni deir tak baithna ki puri attahiyyat yani rasooluhu tak padhli jaaye farz hai.
7-Khurooj Bisuna'ehi (yaani apne iraade se namaaz khatm karna) - Yaani qada e akhira ke baad salaam kalaam wagaira koi aisa fel jisse namaaz jaati rahe baqasd yaani jaan bojhkar karna magar salaam ke alawa koi dusra munaafi qasdan paya gaya toh namaaz wajib ul ia'ada huwi.
● Masla - Muqtadi ke liye yeh bhi farz hai ki imaam ki namaaz ko apne khayal se sahih tasavvur karta ho aur agar apne nazdeek imaam ki namaaz baatil samajhta hai toh uski na huwi agarche imaam ki namaaz sahi ho.
●●● Jiske zimme qaza namazein ho agarche unka padhna jald se jald wajib hai magar baal bacchoñ ki parvarish wagaira aur apni zarooriyat ki farahmi ke sabab takheer (deir) jayez hai toh karobaar bhi kare aur jo waqt fursatka mile usmein qaza padhta rahe yahañ tak ki poori ho jaaye.
● Masla - Qaza namaazein nawafil se ahem hai yaani jiss waqt nafl padhta hai uneiñ chordh kar unke badle qazayein padhe ki bariuzzimma ho jaaye albatta taraweeh aur 12 rakatein sunnatein mua'kaddah ki na chordhe.
● Masla - jiski namaazein qaza ho gayi aur inteqaal hogaya toh agar wasiyat kar gaya aur maal bhi chordha toh uski tihaayi se har farz wa witr ke badle nisf sa'a gehu ya ek sa'a jau tasadduq (sadqa) kare aur maal na chordha aur wursa fidya dena chahe toh kuch maal apne paas se ya qarz lekar miskeen par tasadduq karke uske kabze mein de aur miskeen apni taraf se usey hiba karde aur yeh kabza bhi karle phir yeh miskeen ko de yuñhi lot pher karte rahe.
● Masla - qazaein umri ki shab e qadr ya ramzan ke akhri jumma mein jamaat se padhte hai aur yeh samajhte hai ki umr bhar ki qazayein isi ek namaaz mein se adaa hogayi yeh sirf ghalat aqeeda hai.
Comments
Post a Comment