بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
● Allah ek hai koi uska shareek nahi.Na zaat mein naa sifaat mein na af’aal (kaaryon) mein na ahkaam (aadeshon) mein na naamon mein.woh" wajibul wujud" hai(Jiska har haal mein maujood rehna zaroori ho).Uska adam muhaal hai.yaani kisi zamane mein uski jaat maujood na ho namumkin hai.
Allah "qadeem" aur "azli" hai yaani hamesha se hai aur "abdi" bhi hai yaani woh hamesha rhega.Usey kabhi maut na ayegi.Allah ta’ala hi iss layiq hai ki uski bandgi aur ibaadat ki jaye.
● Aqeeda
Allah beparwah hai.kisi ka muhtaj nahi aur saari duniya usi ki muhtaj hai.
● Aqeeda
Jis tarah Allah ta’ala ki zaat qadeem ajli aur abdi hai usi tarah uski sifaten bhi qadeem azli wa abdi hain.
● Aqeeda
Allah ta’ala na kisi ka baap hai na kisi ka beta aur na uske liye koi biwi.Agar koi Allah ke liye baap beta ya biwi bataye woh bhi kaafir hai.balki jo mumkin bhi bataye wo gumrah aur bad deen hai.
● Aqeeda
Allah hi har tarah ki zaaton aur kaamon ko paida karne wala hai.Haqeeqat mein rozi pahunchchane wala sirf Allah hi hai.Aur farishte rozi pahunchaane ke zariye hain.
[Bahare shariat hissa 1 page 18]
Comments
Post a Comment